ban ke kis shan se baiTha sar-e-mimbar waiz
ban ke kis shan se baiTha sar-e-mimbar waiz
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
ban ke kis shaan se baiThā sar-e-mimbar vaa.iz
naḳhvat-o-ujb hayūlā hai to paikar vaa.iz
tujh ko ḳhidmat milī rindoñ ko burā kahne kī
terī taqdīr meñ thā ye hī muqaddar vaa.iz
zaat se terī haiñ asbāb halāk-āmāda
suḳhan-e-ta.an hai goyā dam-e-ḳhanjar vaa.iz
khul gayā pech ki kyoñ bāñdhī hai dastār-e-girāñ
kuchh nahīñ farq ki hai saḳht subuk-sar vaa.iz
ye tumhārā qadd-e-ḳham-gashta hai shamshīr-e-sitam
saḳht-tar ho ga.e jitne hue lāġhar vaa.iz
jo tahī-dast nikāle ga.e mai-ḳhānoñ se
masjidoñ meñ vahī ban baiThe haiñ aksar vaa.iz
duur kar rīsh-e-hinā.ī ko na ho tā ye gumāñ
ki lagā muñh se hai jām-e-mai-e-ahmar vaa.iz
ye tumheñ ho ki paḌe daġhdaġha-e-hashr meñ ho
fāriġh-ul-bāl hai ek ek qalandar vaa.iz
pand-e-be-sūd se behtar thā ki yā-hū kahte
kaash insāñ ke evaz bante kabūtar vaa.iz
lo ḳhudā ḳhair kare aa.e yahāñ bhī hazrat
dekhnā yaaro khaḌe haiñ sar-e-mahshar vaa.iz
mai-kashoñ ke liye vā hai abhī bāb-e-tauba
kyoñ hue jaate ho māyūs barādar vaa.iz
nazar aaya ab use dahr kā faanī honā
dekh rone lagā bar-qabr-e-sikandar vaa.iz
āftāb-e-mai-e-pur-nūr kā to dekh faroġh
ban gayā ḳhatt-e-shu'ā'ī ḳhat-e-sāġhar vaa.iz
roz-o-shab qasd meñ masjid ke hai āvāra-ḳhirām
vahshat-e-zohd meñ kyā bhuul gayā ghar vaa.iz
sang-e-ka.aba ko to mānoge butoñ ko na sahī
mohtaram aap kī millat meñ hai patthar vaa.iz
ḳhū se baaz aa.eñ kahāñ karte haiñ talqīñ kalima
naza.a ke vaqt khaḌe haiñ sar-e-bistar vaa.iz
sūra-e-shams kī tafsīr kā kuchh lutf mile
dekh le kaash ke us kā ruḳh-e-anvar vaa.iz
qahr hai shakl-e-'abūs aur jabīn-e-pur-chīñ
ajab andāz kā insāñ hai sitamgar vaa.iz
lillahil-hamd ki har vaqt japā karte ho
ho gayā nām-e-butāñ tum ko bhī azbar vaa.iz
qadr maiḳhāne meñ pairāhan-e-sad-chāk kī hai
mo.atakif ka.abe meñ ho oḌh ke chādar vaa.iz
chup raho rahne bhī do sar-ba-garebāñ dam-e-chand
chhoḌ ke jaa.eñ kahāñ dāman-e-mahshar vaa.iz
jin ko ho ḳhātir-e-rindān-e-gunahgār kā paas
ai 'zakī' aise zamāne meñ haiñ kamtar vaa.iz
ban ke kis shan se baiTha sar-e-mimbar waiz
naKHwat-o-ujb hayula hai to paikar waiz
tujh ko KHidmat mili rindon ko bura kahne ki
teri taqdir mein tha ye hi muqaddar waiz
zat se teri hain asbab halak-amada
suKHan-e-tan hai goya dam-e-KHanjar waiz
khul gaya pech ki kyon bandhi hai dastar-e-giran
kuchh nahin farq ki hai saKHt subuk-sar waiz
ye tumhaara qadd-e-KHam-gashta hai shamshir-e-sitam
saKHt-tar ho gae jitne hue laghar waiz
jo tahi-dast nikale gae mai-KHanon se
masjidon mein wahi ban baiThe hain aksar waiz
dur kar rish-e-hinai ko na ho ta ye guman
ki laga munh se hai jam-e-mai-e-ahmar waiz
ye tumhein ho ki paDe daghdagha-e-hashr mein ho
farigh-ul-baal hai ek ek qalandar waiz
pand-e-be-sud se behtar tha ki ya-hu kahte
kash insan ke ewaz bante kabutar waiz
lo KHuda KHair kare aae yahan bhi hazrat
dekhna yaro khaDe hain sar-e-mahshar waiz
mai-kashon ke liye wa hai abhi bab-e-tauba
kyon hue jate ho mayus baradar waiz
nazar aaya ab use dahr ka fani hona
dekh rone laga bar-qabr-e-sikandar waiz
aaftab-e-mai-e-pur-nur ka to dekh farogh
ban gaya KHatt-e-shu'a'i KHat-e-saghar waiz
roz-o-shab qasd mein masjid ke hai aawara-KHiram
wahshat-e-zohd mein kya bhul gaya ghar waiz
sang-e-kaba ko to manoge buton ko na sahi
mohtaram aap ki millat mein hai patthar waiz
KHu se baz aaen kahan karte hain talqin kalima
naza ke waqt khaDe hain sar-e-bistar waiz
sura-e-shams ki tafsir ka kuchh lutf mile
dekh le kash ke us ka ruKH-e-anwar waiz
qahr hai shakl-e-'abus aur jabin-e-pur-chin
ajab andaz ka insan hai sitamgar waiz
lillahil-hamd ki har waqt japa karte ho
ho gaya nam-e-butan tum ko bhi azbar waiz
qadr maiKHane mein pairahan-e-sad-chaak ki hai
moatakif kabe mein ho oDh ke chadar waiz
chup raho rahne bhi do sar-ba-gareban dam-e-chand
chhoD ke jaen kahan daman-e-mahshar waiz
jin ko ho KHatir-e-rindan-e-gunahgar ka pas
ai 'zaki' aise zamane mein hain kamtar waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.