ban ke yusuf main kabhi zer-e-qafas jata hun
ban ke yūsuf maiñ kabhī zer-e-qafas jaatā huuñ
kabhī majnūñ kī tarah dasht meñ phañs jaatā huuñ
jab bhī uThte haiñ tirī yaad ke sho.ale dil se
khaal bachtī hai maiñ andar se jhulas jaatā huuñ
apne hisse ke ujāle bhī use detā huuñ
ḳhud añdheroñ meñ ujāloñ ko taras jaatā huuñ
ḳhvāb ban ke maiñ guzartā huuñ ka.ī āñkhoñ se
phir jo bhātī hai usī aañkh meñ bas jaatā huuñ
ban ke uThtā huuñ buḳhārāt dil-e-tanhā se
phir maiñ āñkhoñ kī ghaTāoñ se baras jaatā huuñ
ban ke yusuf main kabhi zer-e-qafas jata hun
kabhi majnun ki tarah dasht mein phans jata hun
jab bhi uThte hain teri yaad ke shoale dil se
khaal bachti hai main andar se jhulas jata hun
apne hisse ke ujale bhi use deta hun
KHud andheron mein ujalon ko taras jata hun
KHwab ban ke main guzarta hun kai aankhon se
phir jo bhati hai usi aankh mein bas jata hun
ban ke uThta hun buKHaraat dil-e-tanha se
phir main aankhon ki ghaTaon se baras jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.