ban mein rain basera hota
ban meñ rain baserā hotā
maiñ jaagā tū soyā hotā
merā haat aur us kā dāman
kaash kisī din aisā hotā
tū gadde kī raanī bantī
maiñ bhañgḌe kā raajā hotā
tere chehre ke darpan meñ
aks mirī chāhat kā hotā
saḳht sazā dene se pahle
sach kyā hai samjhāyā hotā
ghar meñ tū daftar kī uljhan
saath na apne laayā hotā
un ke saat kabhī to 'bādal'
ik thālī meñ khāyā hotā
ban mein rain basera hota
main jaga tu soya hota
mera hat aur us ka daman
kash kisi din aisa hota
tu gadde ki rani banti
main bhangDe ka raja hota
tere chehre ke darpan mein
aks meri chahat ka hota
saKHt saza dene se pahle
sach kya hai samjhaya hota
ghar mein tu daftar ki uljhan
sath na apne laya hota
un ke sat kabhi to 'baadal'
ek thaali mein khaya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.