ban-sanwar kar jab kabhi wo gulsitan mein aa gae
ban-sanwar kar jab kabhi wo gulsitan mein aa gae
Ram Parshad Sharda
MORE BYRam Parshad Sharda
ban-sañvar kar jab kabhī vo gulsitāñ meñ aa ga.e
aur nasrīñ lāla-o-sarv-o-saman sharmā ga.e
koī aage hai ki pīchhe is se kuchh matlab nahīñ
ġhaur is par kījiye ki ham kahāñ tak aa ga.e
gul ke insāñ aur the aur aaj ke kuchh aur haiñ
aaj ke insāñ ko dekho mehr-o-mah par chhā ga.e
jab bhī aa.ī koī mushkil ham hue sīna-sipar
aur hoñge mushkiloñ meñ phañs ke jo ghabrā ga.e
dāstān-e-ishq meñ aayā thā ik aisā maqām
baat merī ho rahī thī aur vo sharmā ga.e
dosto yād-e-ilāhī aisī manzil hai jahāñ
pā ga.e vo kho ga.e jo kho ga.e vo pā ga.e
jā ke 'bismil' manzil-e-jānāñ meñ ḳhud-rafta na ho
ye vo manzil hai jahāñ pā-e-ḳhirad tharrā ga.e
ban-sanwar kar jab kabhi wo gulsitan mein aa gae
aur nasrin lala-o-sarw-o-saman sharma gae
koi aage hai ki pichhe is se kuchh matlab nahin
ghaur is par kijiye ki hum kahan tak aa gae
gul ke insan aur the aur aaj ke kuchh aur hain
aaj ke insan ko dekho mehr-o-mah par chha gae
jab bhi aai koi mushkil hum hue sina-sipar
aur honge mushkilon mein phans ke jo ghabra gae
dastan-e-ishq mein aaya tha ek aisa maqam
baat meri ho rahi thi aur wo sharma gae
dosto yaad-e-ilahi aisi manzil hai jahan
pa gae wo kho gae jo kho gae wo pa gae
ja ke 'bismil' manzil-e-jaanan mein KHud-rafta na ho
ye wo manzil hai jahan pa-e-KHirad tharra gae
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 85)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.