bana dengi duniya ko ek din sharabi
banā deñgī duniyā ko ik din sharābī
ye bad-mast āñkheñ ye Dore gulābī
haiñ qasr-e-mohabbat ke me'mār donoñ
nigāhoñ kā dhokā diloñ kī ḳharābī
ye kufr-e-mujassam ye zuhd-e-sarāpā
ye gunjān gesū ye rū-e-kitābī
har ik shai meñ tum muskurāte ho goyā
hazāroñ hijāboñ meñ ye be-hijābī
abhī tak nigāhoñ pe chhā.ī huī hai
vo mastī meñ Duubī huī nīm-ḳhvābī
'abas ishq ko intizār-e-asar hai
asar tak kahāñ aah kī bāryābī
ba-juz us ke 'ehsān' ko kyā samajhiye
bahāroñ meñ khoyā huā ik sharābī
bana dengi duniya ko ek din sharabi
ye bad-mast aankhen ye Dore gulabi
hain qasr-e-mohabbat ke me'mar donon
nigahon ka dhoka dilon ki KHarabi
ye kufr-e-mujassam ye zuhd-e-sarapa
ye gunjaan gesu ye ru-e-kitabi
har ek shai mein tum muskuraate ho goya
hazaron hijabon mein ye be-hijabi
abhi tak nigahon pe chhai hui hai
wo masti mein Dubi hui nim-KHwabi
'abas ishq ko intizar-e-asar hai
asar tak kahan aah ki baryabi
ba-juz us ke 'ehsan' ko kya samajhiye
bahaaron mein khoya hua ek sharabi
- Book : ghazluyat-e-ehsaan daanish (Pg. 224)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.