bana diya hai mujhe bewafa wafa kar ke
banā diyā hai mujhe bevafā vafā kar ke
ye kyā kiyā hai mire dard kī davā kar ke
maiñ aap apnī muḳhālif thī apnī dushman thī
mujhe hī mujh se ye achchhā kiyā judā kar ke
mire jamāl ko sañvlā diyā bhalā kis ne
mirī taraf mire sūraj kā aa.ina kar ke
safar ke ḳhvāb bhare-din churā liye us ne
kuchh aur kam mirī manzil kā rāsta kar ke
ye log kyā mire baare meñ sochte hoñge
maiñ sochtī huuñ har ik se tirā patā kar ke
bayān kar na sakī hāl-e-dil 'sadaf' varna
chalī ga.ī thī galī tak to hausla kar ke
bana diya hai mujhe bewafa wafa kar ke
ye kya kiya hai mere dard ki dawa kar ke
main aap apni muKHalif thi apni dushman thi
mujhe hi mujh se ye achchha kiya juda kar ke
mere jamal ko sanwla diya bhala kis ne
meri taraf mere suraj ka aaina kar ke
safar ke KHwab bhare-din chura liye us ne
kuchh aur kam meri manzil ka rasta kar ke
ye log kya mere bare mein sochte honge
main sochti hun har ek se tera pata kar ke
bayan kar na saki haal-e-dil 'sadaf' warna
chali gai thi gali tak to hausla kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.