bana hai dushman-e-gul jab se baghban apna
banā hai dushman-e-gul jab se bāġhbāñ apnā
bharī bahār meñ jaltā hai āshiyāñ apnā
agar ho izn to ai mīr-e-kārvāñ pūchhūñ
chalā hai kaun sī manzil ko kārvāñ apnā
ab is galī meñ mirā koī ham-jalīs nahīñ
qadam qadam pe jahāñ kal thā rāz-dāñ apnā
jahāz apne harīfoñ ke be-shumār sahī
karo na fikr ki dariyā hai be-karāñ apnā
zamīñ ke fitnoñ se ham kis liye Dareñ 'betāb'
ki āsmān hai har lamha pāsbāñ apnā
bana hai dushman-e-gul jab se baghban apna
bhari bahaar mein jalta hai aashiyan apna
agar ho izn to ai mir-e-karwan puchhun
chala hai kaun si manzil ko karwan apna
ab is gali mein mera koi ham-jalis nahin
qadam qadam pe jahan kal tha raaz-dan apna
jahaz apne harifon ke be-shumar sahi
karo na fikr ki dariya hai be-karan apna
zamin ke fitnon se hum kis liye Daren 'betab'
ki aasman hai har lamha pasban apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.