Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bana hun main aaj tera mehman koi adu ko KHabar na kar de

Qateel Shifai

bana hun main aaj tera mehman koi adu ko KHabar na kar de

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    banā huuñ maiñ aaj terā mehmāñ koī adū ko ḳhabar na kar de

    uThā ke vo terī anjuman se kahīñ mujhe dar-ba-dar na kar de

    ye vasl raat hai ḳhudārā naqāb chehre se mat haTāo

    tumhāre chehre ye ujālā sahar se pahle sahar na kar de

    qasam jise zabt-e-ġham de kar uThā diyā apne dar se ne

    kahīñ vo dīvāna umr apnī baġhair tere basar na kar de

    baḌe maze se maiñ rahā huuñ mirī taraf tum abhī na dekho

    mujhe ye Dar hai nazar tumhārī sharāb ko be-asar na kar de

    satāyā jis ko hamesha ne sadā akelā jo chhup ke royā

    vo dil-jalā apne āñsuoñ se tumhārā dāman bhī tar na kar de

    'qatīl' ye vasl ke zamāne hasīn bhī haiñ tavīl bhī haiñ

    magar lagā hai ye dil ko dhaḌkā inheñ koī muḳhtasar na kar de

    bana hun main aaj tera mehman koi adu ko KHabar na kar de

    uTha ke wo teri anjuman se kahin mujhe dar-ba-dar na kar de

    ye wasl ki raat hai KHudara naqab chehre se mat haTao

    tumhaare chehre ka ye ujala sahar se pahle sahar na kar de

    qasam jise zabt-e-gham ki de kar uTha diya apne dar se tu ne

    kahin wo diwana umr apni baghair tere basar na kar de

    baDe maze se main pi raha hun meri taraf tum abhi na dekho

    mujhe ye Dar hai nazar tumhaari sharab ko be-asar na kar de

    sataya jis ko hamesha tu ne sada akela jo chhup ke roya

    wo dil-jala apne aansuon se tumhaara daman bhi tar na kar de

    'qatil' ye wasl ke zamane hasin bhi hain tawil bhi hain

    magar laga hai ye dil ko dhaDka inhen koi muKHtasar na kar de

    Source :
    • Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 149)
    • Author : Qateel Shifai
    • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now