Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bana kar KHud ko jis ne ek bhala insan rakkha hai

Vali Madni

bana kar KHud ko jis ne ek bhala insan rakkha hai

Vali Madni

MORE BYVali Madni

    banā kar ḳhud ko jis ne ik bhalā insān rakkhā hai

    sukūn-e-qalb apne liye sāmān rakkhā hai

    sukūñ ke saath jiinā to bahut dushvār hai lekin

    zamāna ne pahuñchnā marg tak āsān rakkhā hai

    na kyuuñ mohtāt rakhkhūñ ḳhud ko vaqt-e-guftugū tum se

    tumhāre dil ko maiñ ne ābgīna jaan rakkhā hai

    parī kyuuñ niiñd utre mirī palkoñ ke āñgan meñ

    ki maiñ ne paal kar dil meñ ajab bohrān rakkhā hai

    dar-o-dīvār par haiñ ghoñsle kitne parindoñ ke

    kahūñ kaise ki qudarat ne ye ghar vīrān rakkhā hai

    atā kar sāmnā karne jur.at ai ḳhudā dil meñ

    mirī kashtī qismat meñ agar tūfān rakkhā hai

    mire uupar 'valī' sab se baḌā ehsān hai us

    ki jis ne shāḳh-e-dil par phuul īmān rakhā hai

    bana kar KHud ko jis ne ek bhala insan rakkha hai

    sukun-e-qalb ka apne liye saman rakkha hai

    sukun ke sath jina to bahut dushwar hai lekin

    zamana ne pahunchna marg tak aasan rakkha hai

    na kyun mohtat rakhkhun KHud ko waqt-e-guftugu tum se

    tumhaare dil ko main ne aabgina jaan rakkha hai

    pari kyun nind ki utre meri palkon ke aangan mein

    ki main ne pal kar dil mein ajab bohran rakkha hai

    dar-o-diwar par hain ghonsle kitne parindon ke

    kahun kaise ki qudarat ne ye ghar viran rakkha hai

    ata kar samna karne ki jurat ai KHuda dil mein

    meri kashti ki qismat mein agar tufan rakkha hai

    mere upar 'wali' sab se baDa ehsan hai us ka

    ki jis ne shaKH-e-dil par phul sa iman rakha hai

    Source :
    • Book : Izhaar ki faslain (Pg. 43)
    • Author : wali madani
    • Publication : Maktaba-e-sadaf (2013)
    • Edition : 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now