bana ke chaaron taraf ek lakir baiTha hai
banā ke chāroñ taraf ik lakīr baiThā hai
ghane daraḳht ke nīche faqīr baiThā hai
karegā kaun mohabbat yahāñ dobāra dost
fareb-e-ishq kaleje ko chiir baiThā hai
maiñ kaise ḳhud ko bachā paatā terī nazroñ se
baḌā saTīk nishāne pe tiir baiThā hai
sabaq koī nahīñ detā diloñ ko joḌne kā
isī malāl meñ Duubā kabīr baiThā hai
uThegī kaise sadā.eñ sitamgaroñ ke ḳhilāf
har ek shaḳhs yahāñ be-zamīr baiThā hai
kiyā hai kyoñ use nārāz apnī bātoñ se
vo man masos ke kitnā adhīr baiThā hai
usī ke haath pe karnī hai ishq kī bai'at
mazār-e-qais se lag kar jo piir baiThā hai
bana ke chaaron taraf ek lakir baiTha hai
ghane daraKHt ke niche faqir baiTha hai
karega kaun mohabbat yahan dobara dost
fareb-e-ishq kaleje ko chir baiTha hai
main kaise KHud ko bacha pata teri nazron se
baDa saTik nishane pe tir baiTha hai
sabaq koi nahin deta dilon ko joDne ka
isi malal mein Duba kabir baiTha hai
uThegi kaise sadaen sitamgaron ke KHilaf
har ek shaKHs yahan be-zamir baiTha hai
kiya hai kyon use naraaz apni baaton se
wo man masos ke kitna adhir baiTha hai
usi ke hath pe karni hai ishq ki bai'at
mazar-e-qais se lag kar jo pir baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.