bana ke KHud ko mohabbat mein ba-wafa rakhiye
bana ke KHud ko mohabbat mein ba-wafa rakhiye
Abdullah Minhaj Khan
MORE BYAbdullah Minhaj Khan
banā ke ḳhud ko mohabbat meñ bā-vafā rakhiye
ġhamoñ kā daur bhī aa.e to hausla rakhiye
ḳhulūs-e-qalb se miliye har ek se lekin
ta'alluqāt meñ thoḌā sā fāsla rakhiye
taraqqiyoñ kī bulandī pe aap rahiye magar
sabhī se milne milāne kā silsila rakhiye
kisī pe uñglī uThāne se pahle behtar hai
ḳhud apne chehre ke aage ik aa.ina rakhiye
agarche hashr kī rusvā.iyoñ se bachnā hai
banā ke ḳhud ko zamāne meñ pārsā rakhiye
sitam ke daur meñ jiine ke vāste 'minhāj'
nazar ke sāmne maidān-e-karbalā rakhiye
bana ke KHud ko mohabbat mein ba-wafa rakhiye
ghamon ka daur bhi aae to hausla rakhiye
KHulus-e-qalb se miliye har ek se lekin
ta'alluqat mein thoDa sa fasla rakhiye
taraqqiyon ki bulandi pe aap rahiye magar
sabhi se milne milane ka silsila rakhiye
kisi pe ungli uThane se pahle behtar hai
KHud apne chehre ke aage ek aaina rakhiye
agarche hashr ki ruswaiyon se bachna hai
bana ke KHud ko zamane mein parsa rakhiye
sitam ke daur mein jine ke waste 'minhaj'
nazar ke samne maidan-e-karbala rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.