bana ke wahm o guman ki duniya haqiqaton ke sarab dekhun
banā ke vahm o gumāñ kī duniyā haqīqatoñ ke sarāb dekhūñ
maiñ apne hī aa.ine meñ ḳhud ko jahāñ bhī dekhūñ ḳharāb dekhūñ
ye kis ke saa.e ne rafta rafta ik aks mauhūm kar diyā hai
adam agar hai vajūd merā to roz o shab kyuuñ 'azāb dekhūñ
badal badal ke har ek pahlū fasāna kyā kyā banā rahā hai
bahut se kirdār aa.e hoñge magar koī intiḳhāb dekhūñ
ye mere sāthī haiñ pyāre sāthī magar inheñ bhī nahīñ gavārā
maiñ apnī vahshat ke maqbare se na.ī tamannā ke ḳhvāb dekhūñ
maiñ chāhtā huuñ badal duuñ 'manzar' purāne naqsh o nigār saare
ki sarhad-e-jism-o-jāñ se aage nayā koī iztirāb dekhūñ
bana ke wahm o guman ki duniya haqiqaton ke sarab dekhun
main apne hi aaine mein KHud ko jahan bhi dekhun KHarab dekhun
ye kis ke sae ne rafta rafta ek aks mauhum kar diya hai
adam agar hai wajud mera to roz o shab kyun 'azab dekhun
badal badal ke har ek pahlu fasana kya kya bana raha hai
bahut se kirdar aae honge magar koi intiKHab dekhun
ye mere sathi hain pyare sathi magar inhen bhi nahin gawara
main apni wahshat ke maqbare se nai tamanna ke KHwab dekhun
main chahta hun badal dun 'manzar' purane naqsh o nigar sare
ki sarhad-e-jism-o-jaan se aage naya koi iztirab dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.