bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe
banā rahe koī dam naqsh-e-pā se kaun kahe
abhī na ḳhaak uḌaa.e havā se kaun kahe
pa.e nashāt nafas-do-nafas bachā ke rakhe
ye mudda.ā dil-e-be-mudda.ā se kaun kahe
ga.ī to bū hī nahīñ rañg bhī guloñ se gayā
palaT ke baaġh meñ aa.e sabā se kaun kahe
vo multafit haiñ magar ab hameñ dimāġh nahīñ
kahe hue ko phir ab ibtidā se kaun kahe
bahut se rog duā māñgne se jaate haiñ
ye baat ḳhūgar-e-rasm-e-davā se kaun kahe
vo dil kā dard vo nā-guftanī suḳhan 'ḳhurshīd'
ḳhudā se kah liyā ḳhalq-e-ḳhudā se kaun kahe
bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe
abhi na KHak uDae hawa se kaun kahe
pae nashat nafas-do-nafas bacha ke rakhe
ye muddaa dil-e-be-muddaa se kaun kahe
gai to bu hi nahin rang bhi gulon se gaya
palaT ke bagh mein aae saba se kaun kahe
wo multafit hain magar ab hamein dimagh nahin
kahe hue ko phir ab ibtida se kaun kahe
bahut se rog dua mangne se jate hain
ye baat KHugar-e-rasm-e-dawa se kaun kahe
wo dil ka dard wo na-guftani suKHan 'KHurshid'
KHuda se kah liya KHalq-e-KHuda se kaun kahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.