banae hazrat-e-insan ne is din ke kai madfan
banā.e hazrat-e-insāñ ne is diiñ ke ka.ī madfan
milī munkar ko āzādī lage mārūf par qadġhan
hue haiñ mimbar-o-mehrāb hī tafrīq ke markaz
zabānoñ ne pahan rakkhī hai ḳhasta-hāl sī utran
mulūkiyyat ibārat ḳhuun se aahoñ se ashkoñ se
hukūmat ke añdheroñ ko ḳhilāfat hī kare raushan
tujhe thā faḳhr ki sho.aloñ pe terī hukmrānī hai
magar ye dekh chingārī jalātī hai tirā ḳhirman
in arbāb-e-hukūmat kā koī rishta hai qātil se
vatan se jab vo nikle kūcha-e-qātil banā maskan
ḳhushī thī un ko ye uftād un par to nahīñ guzrī
haTī chilman to paa.ī hai vahī āñdhī lab-e-rauzan
yahī hai minhaj-e-nabvī yahī kār-e-nubuvvat hai
ki insāñ kī ġhulāmī se rahe āzād har gardan
umīdeñ justujū ḳhvāb-o-tamanna kī haqīqat kyā
agar tū be-amal be-hausla phir ye bhī sar-afgan
ai 'tābish' tū nifāz-e-hukm-e-rabbānī agar chāhe
to ho āġhāz hukamā se tarīqa hai yahī ahsan
banae hazrat-e-insan ne is din ke kai madfan
mili munkar ko aazadi lage maruf par qadghan
hue hain mimbar-o-mehrab hi tafriq ke markaz
zabanon ne pahan rakkhi hai KHasta-haal si utran
mulukiyyat ibarat KHun se aahon se ashkon se
hukumat ke andheron ko KHilafat hi kare raushan
tujhe tha faKHr ki shoalon pe teri hukmrani hai
magar ye dekh chingari jalati hai tera KHirman
in arbab-e-hukumat ka koi rishta hai qatil se
watan se jab wo nikle kucha-e-qatil bana maskan
KHushi thi un ko ye uftad un par to nahin guzri
haTi chilman to pai hai wahi aandhi lab-e-rauzan
yahi hai minhaj-e-nabwi yahi kar-e-nubuwwat hai
ki insan ki ghulami se rahe aazad har gardan
umiden justuju KHwab-o-tamanna ki haqiqat kya
agar tu be-amal be-hausla phir ye bhi sar-afgan
ai 'tabish' tu nifaz-e-hukm-e-rabbani agar chahe
to ho aaghaz hukama se tariqa hai yahi ahsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.