banate nahin hain jo kirdar apne
banāte nahīñ haiñ jo kirdār apne
hamesha vo rahte haiñ sab ḳhvār apne
ḳhulūs-o-mohabbat diloñ meñ nahīñ hai
haiñ matlab ke sab hī talabgār apne
jinheñ ham ne rokā bure rāste se
vahī ho ga.e ham se bezār apne
nazar rakhte haiñ dūsroñ ke 'amal par
nahīñ dekhte haiñ vo kirdār apne
jo derīna the āshnā vo kahāñ haiñ
sabhī ho ga.e gum vafādār apne
vo DhūñDe se bhī ab to milte nahīñ haiñ
kahāñ jā chuke haiñ vo ġham-ḳhvār apne
dukhoñ meñ ai 'bāsir' jo dete nahīñ saath
haiñ duniyā meñ sab hī vo bekār apne
banate nahin hain jo kirdar apne
hamesha wo rahte hain sab KHwar apne
KHulus-o-mohabbat dilon mein nahin hai
hain matlab ke sab hi talabgar apne
jinhen hum ne roka bure raste se
wahi ho gae hum se bezar apne
nazar rakhte hain dusron ke 'amal par
nahin dekhte hain wo kirdar apne
jo derina the aashna wo kahan hain
sabhi ho gae gum wafadar apne
wo DhunDe se bhi ab to milte nahin hain
kahan ja chuke hain wo gham-KHwar apne
dukhon mein ai 'basir' jo dete nahin sath
hain duniya mein sab hi wo bekar apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.