band aankhon ki jab khiDkiyan khul gain
band āñkhoñ kī jab khiḌkiyāñ khul ga.iiñ
ho ga.ī shā'irī copiyāñ khul ga.iiñ
sāhil-e-dil pe armāñ kī kashtī chalī
yuuñ talātum uThā rassiyāñ khul ga.iiñ
she’r-o-naġhme kī mahfil jahāñ bhī sajī
mausam-e-habs kī muTThiyāñ khul ga.iiñ
aañkh mīche hī pahchānā maiñ ne tujhe
phir gulāboñ sī do pattiyāñ khul ga.iiñ
tujh ko dekhā lagā sub.h-e-nau ho ga.ī
uljhanoñ se banī gutthiyāñ khul ga.iiñ
mausam-e-dil pe jab se 'bahār' aa ga.ī
ārzūoñ-bharī titliyāñ khul ga.iiñ
band aankhon ki jab khiDkiyan khul gain
ho gai sha'iri copiyan khul gain
sahil-e-dil pe arman ki kashti chali
yun talatum uTha rassiyan khul gain
she’r-o-naghme ki mahfil jahan bhi saji
mausam-e-habs ki muTThiyan khul gain
aankh miche hi pahchana main ne tujhe
phir gulabon si do pattiyan khul gain
tujh ko dekha laga subh-e-nau ho gai
uljhanon se bani gutthiyan khul gain
mausam-e-dil pe jab se 'bahaar' aa gai
aarzuon-bhari titliyan khul gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.