band aankhon mein pighalti hui ek nazm ke rog
band āñkhoñ meñ pighaltī hui ik nazm ke rog
aur misroñ meñ chhupe dard hameñ jānte haiñ
yuuñ gale milte haiñ bichhḌā huā jaise mil jaa.e
tere kūche meñ pale dard hameñ jānte haiñ
ham se shāhān-e-mohabbat kā pata pūchhte ho
ishq-ābād ke be-dard hameñ jānte haiñ
ek mela sā lagā hotā hai yaar āḳhir-e-shab
dil kī sarhad pe khaḌe dard hameñ jānte haiñ
zard rut meñ bhī unheñ ham ne sambhāle rakkhā
tire hāthoñ se mile dard hameñ jānte haiñ
ham ne dekhe haiñ sazā kaaT ke jiite hue din
is havāle se to ye dard hameñ jānte haiñ
band aankhon mein pighalti hui ek nazm ke rog
aur misron mein chhupe dard hamein jaante hain
yun gale milte hain bichhDa hua jaise mil jae
tere kuche mein pale dard hamein jaante hain
hum se shahan-e-mohabbat ka pata puchhte ho
ishq-abaad ke be-dard hamein jaante hain
ek mela sa laga hota hai yar aaKHir-e-shab
dil ki sarhad pe khaDe dard hamein jaante hain
zard rut mein bhi unhen hum ne sambhaale rakkha
tere hathon se mile dard hamein jaante hain
hum ne dekhe hain saza kaT ke jite hue din
is hawale se to ye dard hamein jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.