band hai jo zaban kholun kya
band hai jo zabān kholūñ kyā
sun sakoge mujhe maiñ bolūñ kyā
tez bārish hai aur mauqa bhī
maiñ tujhe saath meñ bhigo luuñ kyā
terī manzil hī merī manzil hai
maiñ tire sāth-sāth ho luuñ kyā
mar chukā hai jo mujh meñ zinda thā
nabz us kī maiñ ab TaTolūñ kyā
maiñ tumhārā huuñ bas tumhārā huuñ
ab kisī aur se na bolūñ kyā
zabt 'mashkūr' jaan le legā
baiTh kar thoḌī der ro luuñ kyā
band hai jo zaban kholun kya
sun sakoge mujhe main bolun kya
tez barish hai aur mauqa bhi
main tujhe sath mein bhigo lun kya
teri manzil hi meri manzil hai
main tere sath-sath ho lun kya
mar chuka hai jo mujh mein zinda tha
nabz us ki main ab TaTolun kya
main tumhaara hun bas tumhaara hun
ab kisi aur se na bolun kya
zabt 'mashkur' jaan le lega
baiTh kar thoDi der ro lun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.