band hain dil ke dariche raushni madum hai
band haiñ dil ke darīche raushnī mā'dūm hai
ab jo apnā hashr honā hai hameñ mā'lūm hai
hasb-e-nairañg-e-jahāñ dil shaad yā maġhmūm hai
aadmī jazbāt kā hākim nahīñ mahkūm hai
ab takalluf bartaraf ye aap ko mā'lūm hai
kyuuñ mirā ḳhvāb-e-vafā ta.abīr se mahrūm hai
husn ḳhud taḌpā kiyā hai mujh ko taḌpāne ke baa'd
sochnā paḌtā hai vo zālim hai yā mazlūm hai
ḳhvāb āḳhir ḳhvāb hai is ḳhvāb kā kyā e'tibār
jannat-e-nazzāra goyā jannat-e-mauhūm hai
haa.e ye tarfa ma.āl-e-ārzū-e-sub.h-e-nau
jis taraf nazreñ uThātā huuñ fazā masmūm hai
mere kirdār-e-vafā kī ā.īna-dārī ba-ḳhair
kyuuñ zabān-e-dost par al-shāz-o-kal-mādūm hai
dekhne kī chiiz hai ye sehr-e-andāz-e-nazar
un kā har mub.ham ishāra hāmil-e-mafhūm hai
ḳhaar bhī nā-mutma.in haiñ phuul bhī nā-mutma.in
bāġhbāñ ke is nizām-e-gulsitāñ kī dhuum hai
ab use māhaul jis qālib meñ chāhe Dhaal de
fitratan to aadmī ik paikar-e-mafhūm hai
jo bharī mahfil meñ nazroñ kī huī hai guftugū
husn ko mā'lūm hai yā ishq ko mā'lūm hai
kitnī kaif-āvar hai in kī shirkat-e-ġham bhī 'urūj'
mātam-e-dil kī jagah jashn-e-dil-e-marhūm hai
band hain dil ke dariche raushni ma'dum hai
ab jo apna hashr hona hai hamein ma'lum hai
hasb-e-nairang-e-jahan dil shad ya maghmum hai
aadmi jazbaat ka hakim nahin mahkum hai
ab takalluf bartaraf ye aap ko ma'lum hai
kyun mera KHwab-e-wafa tabir se mahrum hai
husn KHud taDpa kiya hai mujh ko taDpane ke ba'd
sochna paDta hai wo zalim hai ya mazlum hai
KHwab aaKHir KHwab hai is KHwab ka kya e'tibar
jannat-e-nazzara goya jannat-e-mauhum hai
hae ye tarfa maal-e-arzu-e-subh-e-nau
jis taraf nazren uThata hun faza masmum hai
mere kirdar-e-wafa ki aaina-dari ba-KHair
kyun zaban-e-dost par al-shaz-o-kal-madum hai
dekhne ki chiz hai ye sehr-e-andaz-e-nazar
un ka har mubham ishaara hamil-e-mafhum hai
KHar bhi na-mutmain hain phul bhi na-mutmain
baghban ke is nizam-e-gulsitan ki dhum hai
ab use mahaul jis qalib mein chahe Dhaal de
fitratan to aadmi ek paikar-e-mafhum hai
jo bhari mahfil mein nazron ki hui hai guftugu
husn ko ma'lum hai ya ishq ko ma'lum hai
kitni kaif-awar hai in ki shirkat-e-gham bhi 'uruj'
matam-e-dil ki jagah jashn-e-dil-e-marhum hai
- Book : Lahje ke Chiraag (Pg. 85)
- Author : Urooj Zaidi
- Publication : Irfan Zaidi, Rampur (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.