band honTon se bhi izhaar-e-tamanna karte
band hoñToñ se bhī iz.hār-e-tamannā karte
aa.ina ban ke tire husn ko dekhā karte
apnā saaya bhī yahāñ ġhair nazar aatā hai
ajnabī shahr meñ ham kis pe bharosa karte
us kī mahfil meñ to ik bhiiḌ thī dīvānoñ kī
pahle dil ahl-e-nazar ahl-e-vafā kyā karte
ishq har haal meñ pāband-e-vafā hotā hai
ham to badnām the kyuuñ aap ko rusvā karte
itnī guzrī hai jahāñ aur guzar jā.egī
zindagī ke liye itnā nahīñ sochā karte
jab talak saañs chale bas yuuñ hī chalte rahiye
chal ke do-chār qadam yuuñ nahīñ Thahrā karte
ai ḳhudā ham tirī vahdat pe yaqīñ rakhte haiñ
kyuuñ tire dar ke sivā ham kahīñ sajda karte
band honTon se bhi izhaar-e-tamanna karte
aaina ban ke tere husn ko dekha karte
apna saya bhi yahan ghair nazar aata hai
ajnabi shahr mein hum kis pe bharosa karte
us ki mahfil mein to ek bhiD thi diwanon ki
pahle dil ahl-e-nazar ahl-e-wafa kya karte
ishq har haal mein paband-e-wafa hota hai
hum to badnam the kyun aap ko ruswa karte
itni guzri hai jahan aur guzar jaegi
zindagi ke liye itna nahin socha karte
jab talak sans chale bas yun hi chalte rahiye
chal ke do-chaar qadam yun nahin Thahra karte
ai KHuda hum teri wahdat pe yaqin rakhte hain
kyun tere dar ke siwa hum kahin sajda karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.