band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din
band hotī kitāboñ meñ uḌtī huī titliyāñ Daal diiñ
kis kī rasmoñ kī jaltī huī aag meñ laḌkiyāñ Daal diiñ
ḳhauf kaisā hai ye naam is kā kahīñ zer-e-lab bhī nahīñ
jis ne hāthoñ meñ mere hare kāñch kī chūḌiyāñ Daal diiñ
hoñT pyāse rahe hausle thak ga.e umr sahrā huī
ham ne paanī ke dhoke meñ phir ret par kashtiyāñ Daal diiñ
mausam-e-hijr kī kaisī saa.at hai ye dil bhī hairān hai
mere kānoñ meñ kis ne tirī yaad kī bāliyāñ Daal diiñ
band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din
kis ki rasmon ki jalti hui aag mein laDkiyan Dal din
KHauf kaisa hai ye nam is ka kahin zer-e-lab bhi nahin
jis ne hathon mein mere hare kanch ki chuDiyan Dal din
honT pyase rahe hausle thak gae umr sahra hui
hum ne pani ke dhoke mein phir ret par kashtiyan Dal din
mausam-e-hijr ki kaisi saat hai ye dil bhi hairan hai
mere kanon mein kis ne teri yaad ki baaliyan Dal din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.