band kamre ke bahar bhi hai zindagi
band kamre ke bāhar bhī hai zindagī
khiḌkiyāñ khol kar dekhnā chāhiye
itne ilzām aur ik akelā ḳhudā
apnī marzī kā sab ko ḳhudā chāhiye
sab pe iz.hār-e-hālāt achchhā nahīñ
band muTThī ko kam kholnā chāhiye
shahr se aur koī shikāyat nahīñ
saañs lene ko thoḌī havā chāhiye
thak chale pankh bhī chhā ga.ī dhund bhī
shaam hone ko hai lauTnā chāhiye
band kamre ke bahar bhi hai zindagi
khiDkiyan khol kar dekhna chahiye
itne ilzam aur ek akela KHuda
apni marzi ka sab ko KHuda chahiye
sab pe izhaar-e-haalat achchha nahin
band muTThi ko kam kholna chahiye
shahr se aur koi shikayat nahin
sans lene ko thoDi hawa chahiye
thak chale pankh bhi chha gai dhund bhi
sham hone ko hai lauTna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.