band kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir
band kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir
Jaleel Haider Lashari
MORE BYJaleel Haider Lashari
band kar baiThe ho ghar radd-e-balā kī ḳhātir
ek khiḌkī to khulī rakhte havā kī ḳhātir
bheñT chaḌhte rahe har daur meñ insāñ kitne
fard-e-vāhid kī faqat jhūTī anā kī ḳhātir
har zabardast kā har zulm sahā hai maiñ ne
zindagī mahz tirī hirs-e-baqā kī ḳhātir
Dar jahannam kā na jannat kī havas hai mujh ko
sar jhukāyā hai faqat terī razā kī ḳhātir
maiñ siyah-baḳht jise maar ke apnoñ ne 'jalīl'
ġhair ko dosh diyā ḳhūn-bahā kī ḳhātir
band kar baiThe ho ghar radd-e-bala ki KHatir
ek khiDki to khuli rakhte hawa ki KHatir
bhenT chaDhte rahe har daur mein insan kitne
fard-e-wahid ki faqat jhuTi ana ki KHatir
har zabardast ka har zulm saha hai main ne
zindagi mahz teri hirs-e-baqa ki KHatir
Dar jahannam ka na jannat ki hawas hai mujh ko
sar jhukaya hai faqat teri raza ki KHatir
main siyah-baKHt jise mar ke apnon ne 'jalil'
ghair ko dosh diya KHun-baha ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.