band rakhta hun bas ye jaan ke munh
band rakhtā huuñ bas ye jaan ke muñh
kabhī lagiye na bad-zabān ke muñh
taab kis ko hai tiir khāne kī
kaun aa.e chaḌhī kamān ke muñh
mujh ko kyā kyā gumāñ guzartā hai
paas laate haiñ jab vo kaan ke muñh
mast-e-mai se ulajh na ai gardūñ
buDDhe aatā hai kyuuñ javān ke muñh
pahle vo jhuk ke baat karte the
ab chaḌhāte haiñ siina taan ke muñh
chhāpe sandal ke lag ga.e āḳhir
do-zabānī se mehrbān ke muñh
laal ho kar mirī talab pe kahā
pahle qābil banāo paan ke muñh
aap kā hukm sun ke lauT aayā
kaise lagtā maiñ pāsbān ke muñh
aaj 'fārūq' faisla ho jaa.e
kholtā huuñ ye dil meñ Thaan ke muñh
band rakhta hun bas ye jaan ke munh
kabhi lagiye na bad-zaban ke munh
tab kis ko hai tir khane ki
kaun aae chaDhi kaman ke munh
mujh ko kya kya guman guzarta hai
pas late hain jab wo kan ke munh
mast-e-mai se ulajh na ai gardun
buDDhe aata hai kyun jawan ke munh
pahle wo jhuk ke baat karte the
ab chaDhate hain sina tan ke munh
chhape sandal ke lag gae aaKHir
do-zabani se mehrban ke munh
lal ho kar meri talab pe kaha
pahle qabil banao pan ke munh
aap ka hukm sun ke lauT aaya
kaise lagta main pasban ke munh
aaj 'faruq' faisla ho jae
kholta hun ye dil mein Than ke munh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.