banda-e-alam-e-KHarab hun main
banda-e-alam-e-KHarab hun main
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
banda-e-ālam-e-ḳharāb huuñ maiñ
zindagānī kā inqalāb huuñ maiñ
hai vo nūr-e-jamāl kī tafsīr
aur siyah siyah-baḳhtiyoñ kā baab huuñ maiñ
zindagī naam hai mohabbat kā
apne maqsad meñ kāmyāb huuñ maiñ
huuñ haqīqat se apnī kosoñ duur
sar-basar vaqf-e-iztirāb huuñ meñ
umr-e-do-roza musta.ār milī
bahr-e-hastī meñ naqsh-e-āb huuñ meñ
ik tamāsha hai kār-gāh-e-nazar
maiñ samajhtā huuñ mahv-e-ḳhvāb huuñ maiñ
hai mirī zindagī kā raaz yahī
ġharq-e-har-mauja-e-sharāb huuñ maiñ
har rag-e-jāñ hai ma.asiyat kā nishāñ
apne a.amāl kā hisāb huuñ maiñ
al-ġharaz kyā kahūñ ki kyā huuñ 'anīs'
zindagī ke liye azaab huuñ maiñ
banda-e-alam-e-KHarab hun main
zindagani ka inqalab hun main
hai wo nur-e-jamal ki tafsir
aur siyah siyah-baKHtiyon ka bab hun main
zindagi nam hai mohabbat ka
apne maqsad mein kaamyab hun main
hun haqiqat se apni koson dur
sar-basar waqf-e-iztirab hun mein
umr-e-do-roza mustaar mili
bahr-e-hasti mein naqsh-e-ab hun mein
ek tamasha hai kar-gah-e-nazar
main samajhta hun mahw-e-KHwab hun main
hai meri zindagi ka raaz yahi
gharq-e-har-mauja-e-sharab hun main
har rag-e-jaan hai masiyat ka nishan
apne aamal ka hisab hun main
al-gharaz kya kahun ki kya hun 'anis'
zindagi ke liye azab hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.