banda-parwar hua kare koi
banda-parvar huā kare koī
merī hājat-ravā kare koī
ham haiñ dānista is liye bīmār
kuchh hamārī davā kare koī
ham ne logoñ kā kyā bigāḌā thā
kyoñ hamārā gila kare koī
kaun us ko muaaf kartā hai
jānte bhī ḳhatā kare koī
sabr jo ranj par kare hamdam
is tarah ġham sahā kare koī
ham haiñ ḳhvāhāñ 'kalīm' ulfat ke
kuchh na de dukh ḳhudā kare koī
banda-parwar hua kare koi
meri hajat-rawa kare koi
hum hain danista is liye bimar
kuchh hamari dawa kare koi
hum ne logon ka kya bigaDa tha
kyon hamara gila kare koi
kaun us ko muaf karta hai
jaante bhi KHata kare koi
sabr jo ranj par kare hamdam
is tarah gham saha kare koi
hum hain KHwahan 'kalim' ulfat ke
kuchh na de dukh KHuda kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.