bandagi hogi maut se pahle
bandagī hogī maut se pahle
maut ke baa'd zindagī hogī
ham ko jis raah se guzarnā hai
koī mushkil vahāñ khaḌī hogī
aa.ina bhī nazar jhukā legā
haa.e kaisī barahnagī hogī
aaj kar lo jo baat karnī hai
aaj dīvār so rahī hogī
Tuut jā.egā ḳhvāb āḳhir-e-shab
aur haqīqat vahīñ khaḌī hogī
dil to us kī sazā bhī bhugtegā
ġhalatī aañkh ne jo kī hogī
aaj sūraj ne kah diyā 'momin'
tū jalegā to raushnī hogī
bandagi hogi maut se pahle
maut ke ba'd zindagi hogi
hum ko jis rah se guzarna hai
koi mushkil wahan khaDi hogi
aaina bhi nazar jhuka lega
hae kaisi barahnagi hogi
aaj kar lo jo baat karni hai
aaj diwar so rahi hogi
Tut jaega KHwab aaKHir-e-shab
aur haqiqat wahin khaDi hogi
dil to us ki saza bhi bhugtega
ghalati aankh ne jo ki hogi
aaj suraj ne kah diya 'momin'
tu jalega to raushni hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.