bandagi karte karte KHuda ho gaya
bandagī karte karte ḳhudā ho gayā
aadmī ko ḳhudā jaane kyā ho gayā
vo sitamgar ḳhudā-e-vafā ho gayā
tujh ko ai ġhairat-e-ishq kyā ho gayā
aa ki tārīḳh-e-dil phir murattab kareñ
fikr-e-māzī na kar jo huā ho gayā
zindagī hī mujhe chhoḌ kar chup nahīñ
ḳhud bhī hairān huuñ maiñ ye kyā ho gayā
ham bahāroñ kī minnat hī karte rahe
rang-e-gulshan huā thā havā ho gayā
chupke chupke mirā zikr hotā rahā
rafta rafta har ik āshnā ho gayā
tujh se to qurb hai tere dar par to haiñ
ham ḳhudā tak na pahuñche to kyā ho gayā
ziist thoḌī bahut kaam aane lagī
kuchh na kuchh maut kā aasrā ho gayā
kis tajassus meñ 'anjum' pareshān ho
saath kab thā jo koī judā ho gayā
bandagi karte karte KHuda ho gaya
aadmi ko KHuda jaane kya ho gaya
wo sitamgar KHuda-e-wafa ho gaya
tujh ko ai ghairat-e-ishq kya ho gaya
aa ki tariKH-e-dil phir murattab karen
fikr-e-mazi na kar jo hua ho gaya
zindagi hi mujhe chhoD kar chup nahin
KHud bhi hairan hun main ye kya ho gaya
hum bahaaron ki minnat hi karte rahe
rang-e-gulshan hua tha hawa ho gaya
chupke chupke mera zikr hota raha
rafta rafta har ek aashna ho gaya
tujh se to qurb hai tere dar par to hain
hum KHuda tak na pahunche to kya ho gaya
zist thoDi bahut kaam aane lagi
kuchh na kuchh maut ka aasra ho gaya
kis tajassus mein 'anjum' pareshan ho
sath kab tha jo koi juda ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.