bandagi kyon na ras aati hai
bandagī kyoñ na raas aatī hai
kyā ye namrūd kī ḳhudā.ī hai
chāñdnī oḌh kar jo niklā hai
jeb us kī vafā se ḳhālī hai
zindagī ab kahāñ kare fariyād
aabrū hādsoñ ne luuTī hai
raaz chhuptā nahīñ chhupāne se
aaj ghar ghar meñ ghar kā bhedī hai
ye hai terā fareb ai sāhil
merī kashtī bhañvar meñ Duubī hai
jañg meñ aa.egā mazā 'saifī'
merā dushman bhī ḳhāndānī hai
bandagi kyon na ras aati hai
kya ye namrud ki KHudai hai
chandni oDh kar jo nikla hai
jeb us ki wafa se KHali hai
zindagi ab kahan kare fariyaad
aabru hadson ne luTi hai
raaz chhupta nahin chhupane se
aaj ghar ghar mein ghar ka bhedi hai
ye hai tera fareb ai sahil
meri kashti bhanwar mein Dubi hai
jang mein aaega maza 'saifi'
mera dushman bhi KHandani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.