bandagi mein jo habibon ki raha sar mera
bandagī meñ jo habīboñ kī rahā sar merā
thopne ke liye ilzām milā sar merā
jānte the to bhī hālat kā sabab jānñā thā
sar jhaTakte hue maiñ ne bhī kahā sar merā
ruuh kā merī na jaane thā irāda kyā hī
sub.h jab maiñ uThā to soyā milā sar merā
sau zabāñ par sau tarīqe mirī ik dāstāñ ke
sau saroñ meñ hai sau hissoñ meñ baTā sar merā
bandagi mein jo habibon ki raha sar mera
thopne ke liye ilzam mila sar mera
jaante the to bhi haalat ka sabab jaanna tha
sar jhaTakte hue main ne bhi kaha sar mera
ruh ka meri na jaane tha irada kya hi
subh jab main uTha to soya mila sar mera
sau zaban par sau tariqe meri ek dastan ke
sau saron mein hai sau hisson mein baTa sar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.