bande hain teri chhab ke mah se jamal wale
bande haiñ terī chhab ke mah se jamāl vaale
sab gul se gaal vaale sumbul se baal vaale
sīdhī adā bhī bhūle ga.e daaġh ho chhabīle
ai TeḌhī chaal vaale ThoḌī ke ḳhaal vaale
mat ho tū niilā piilā baḳht-e-siyah kar ujlī
ai alfī shaal vaale bhagve rumāl vaale
kar surma ḳhāk-sārī dil kī nayan se dekhā
chal ga.e vo haal vaale rah ga.e haiñ qaal vaale
dhūpoñ meñ pī jo nikle tab āb-pāshī karne
dañg-o-davāl vaale hoveñ pakhāl vaale
'uzlat' kī aahoñ aage terī nigāhoñ aage
kyā sho.ale jhaal vaale kyā neze bhaal vaale
bande hain teri chhab ke mah se jamal wale
sab gul se gal wale sumbul se baal wale
sidhi ada bhi bhule gae dagh ho chhabile
ai TeDhi chaal wale ThoDi ke KHal wale
mat ho tu nila pila baKHt-e-siyah kar ujli
ai alfi shaal wale bhagwe rumal wale
kar surma KHak-sari dil ki nayan se dekha
chal gae wo haal wale rah gae hain qal wale
dhupon mein pi jo nikle tab aab-pashi karne
dang-o-dawal wale howen pakhaal wale
'uzlat' ki aahon aage teri nigahon aage
kya shoale jhaal wale kya neze bhaal wale
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 72)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.