bandhanon se rihai mat karna
bandhanoñ se rihā.ī mat karnā
yuuñ kabhī bhī judā.ī mat karnā
laakh duniyā kahe burā mujh ko
aap merī burā.ī mat karnā
jo diyā dil marī nishānī hai
chiiz apnī parā.ī mat karnā
is qadar duur kar mujhe ḳhud se
jaan ye jag-hañsā.ī mat karnā
mujh se ye bojh ab nahīñ uThtā
dekho tum āshnā.ī mat karnā
bandhanon se rihai mat karna
yun kabhi bhi judai mat karna
lakh duniya kahe bura mujh ko
aap meri burai mat karna
jo diya dil mari nishani hai
chiz apni parai mat karna
is qadar dur kar mujhe KHud se
jaan ye jag-hansai mat karna
mujh se ye bojh ab nahin uThta
dekho tum aashnai mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.