bandish-e-alfaz hi se shairi hoti nahin
bandish-e-alfāz hī se shā.irī hotī nahīñ
sirf jī lene se jaise zindagī hotī nahīñ
shā.irī kaifiyyat-e-jazb-o-junūñ kā naam hai
ye na ho to shā.irī phir shā.irī hotī nahīñ
jo bhī ho lekin hamāre vāste ye shā.irī
parda-dār-e-rāz-hā-e-zindagī hotī nahīñ
garmi-e-jazbāt meñ imkāñ hasīñ dhoke kā hai
dil kī chingārī faroġh-e-dā.imī hotī nahīñ
paak hotā hai junūn-o-justujū se rāzdāñ
rāz-dānī be-niyāz-e-āgahī hotī nahīñ
muḳhtalif ik dūsre se haiñ haqīqat aur majāz
kūcha-e-mahbūb ka.aba kī galī hotī nahīñ
bandish-e-alfaz hi se shairi hoti nahin
sirf ji lene se jaise zindagi hoti nahin
shairi kaifiyyat-e-jazb-o-junun ka nam hai
ye na ho to shairi phir shairi hoti nahin
jo bhi ho lekin hamare waste ye shairi
parda-dar-e-raaz-ha-e-zindagi hoti nahin
garmi-e-jazbaat mein imkan hasin dhoke ka hai
dil ki chingari farogh-e-daimi hoti nahin
pak hota hai junun-o-justuju se raazdan
raaz-dani be-niyaz-e-agahi hoti nahin
muKHtalif ek dusre se hain haqiqat aur majaz
kucha-e-mahbub kaba ki gali hoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.