bandish-e-be-asar bana Dala
bandish-e-be-asar banā Daalā
dar ko dīvār par banā Daalā
ik tire naam kā savāl huā
ghar ko nīlām-ghar banā Daalā
ruuh kī ḳhaak ḳhaak se bantī
ḳhaak uThā.ī bashar banā Daalā
zindagī tujh se be-vafāoñ ko
maut ne mo'tabar banā Daalā
tujh sā koī nahīñ magar ham ne
terā autār agar banā Daalā
amn vāloñ ne apnī koshish kī
teġh se pahle sar banā Daalā
phir vahī 'aib dekh kar toḌā
phir na.e chaak par banā Daalā
be-zarar log chun liye 'shāhid'
aur mohabbat-nagar banā Daalā
bandish-e-be-asar bana Dala
dar ko diwar par bana Dala
ek tere nam ka sawal hua
ghar ko nilam-ghar bana Dala
ruh ki KHak KHak se banti
KHak uThai bashar bana Dala
zindagi tujh se be-wafaon ko
maut ne mo'tabar bana Dala
tujh sa koi nahin magar hum ne
tera autar agar bana Dala
amn walon ne apni koshish ki
tegh se pahle sar bana Dala
phir wahi 'aib dekh kar toDa
phir nae chaak par bana Dala
be-zarar log chun liye 'shahid'
aur mohabbat-nagar bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.