bandishen toD ke aisa to nikal aaya tha
bandisheñ toḌ ke aisā to nikal aayā thā
chāñd jaise ki falak se ye phisal aayā thā
merā ye dil jise patthar bhī bahut narm lage
barf jaisā mire siine meñ pighal aayā thā
aisī vaadī se bhalā kaun palaT kar aa.e
ek bachcha hī sā thā maiñ jo nikal aayā thā
tum ko andar kī baġhāvat kā koī ilm nahīñ
jism ko piiTh pe rakkhā thā to chal paayā thā
haañ maiñ royā thā nikalte hue us roz magar
tere māthe pe bhī thoḌā sā to bal aayā thā
ek chhoTī sī guzārish mirī ab vaqt se hai
baar baar aayā kare jaise vo kal aayā thā
bandishen toD ke aisa to nikal aaya tha
chand jaise ki falak se ye phisal aaya tha
mera ye dil jise patthar bhi bahut narm lage
barf jaisa mere sine mein pighal aaya tha
aisi wadi se bhala kaun palaT kar aae
ek bachcha hi sa tha main jo nikal aaya tha
tum ko andar ki baghawat ka koi ilm nahin
jism ko piTh pe rakkha tha to chal paya tha
han main roya tha nikalte hue us roz magar
tere mathe pe bhi thoDa sa to bal aaya tha
ek chhoTi si guzarish meri ab waqt se hai
bar bar aaya kare jaise wo kal aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.