banduq mein goli bhi nahin sar mein hadaf bhi
bandūq meñ golī bhī nahīñ sar meñ hadaf bhī
aur baḌhtā chalā jaatā huuñ jangal kī taraf bhī
mujh se nahīñ honā hai koī mo.ajiza is baar
uTh kar chalī jaanī hai mirī āḳhirī saf bhī
ab mujh meñ samundar hai samundar meñ ḳhalā hai
motī bhī mirā le gayā mujh se vo sadaf bhī
tum ko to vafādār kahā jaatā rahā hai
hāsil hai tumheñ chhoḌ ke jaane kā sharaf bhī
aane ko to aa jā.egā jiine kā salīqa
tab tak pa chalā jā.egā jiine kā shaġhaf bhī
piñjre se ziyāda rahā uḌne kā mujhe Dar
zanjīr bhī hotā huuñ maiñ zanjīr-ba-kaf bhī
banduq mein goli bhi nahin sar mein hadaf bhi
aur baDhta chala jata hun jangal ki taraf bhi
mujh se nahin hona hai koi moajiza is bar
uTh kar chali jaani hai meri aaKHiri saf bhi
ab mujh mein samundar hai samundar mein KHala hai
moti bhi mera le gaya mujh se wo sadaf bhi
tum ko to wafadar kaha jata raha hai
hasil hai tumhein chhoD ke jaane ka sharaf bhi
aane ko to aa jaega jine ka saliqa
tab tak pa chala jaega jine ka shaghaf bhi
pinjre se ziyaada raha uDne ka mujhe Dar
zanjir bhi hota hun main zanjir-ba-kaf bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.