bani hui hain mere dil ki tarjuman aankhen
banī huī haiñ mire dil kī tarjumāñ āñkheñ
sunā rahī haiñ mohabbat kī dāstāñ āñkheñ
na thī zabāñ ko ijāzat ki hāl-e-dil kahtī
zabān-e-ashk se kartī rahīñ bayāñ āñkheñ
kabhī chhupī hai mohabbat ki maiñ chhupā letā
zabāñ jo band huī ban ga.iiñ zabāñ āñkheñ
banāo dāman-e-sāda pe in se gul-būTe
qubūl ho to karūñ nazr ḳhūñ-fishāñ āñkheñ
maiñ andalīb huuñ phūloñ kī diid merī hayāt
paroñ ko bāñdh na kar band bāġhbāñ āñkheñ
sharāfat-e-nigah-e-pāk kā hai nigarāñ dil
tahārat-e-dil-e-momin kī pāsbāñ āñkheñ
'urūj' baḌh ke karo pesh dil kā nazrāna
tumhīñ ko taak rahī haiñ vo dil-sitāñ āñkheñ
bani hui hain mere dil ki tarjuman aankhen
suna rahi hain mohabbat ki dastan aankhen
na thi zaban ko ijazat ki haal-e-dil kahti
zaban-e-ashk se karti rahin bayan aankhen
kabhi chhupi hai mohabbat ki main chhupa leta
zaban jo band hui ban gain zaban aankhen
banao daman-e-sada pe in se gul-buTe
qubul ho to karun nazr KHun-fishan aankhen
main andalib hun phulon ki did meri hayat
paron ko bandh na kar band baghban aankhen
sharafat-e-nigah-e-pak ka hai nigaran dil
tahaarat-e-dil-e-momin ki pasban aankhen
'uruj' baDh ke karo pesh dil ka nazrana
tumhin ko tak rahi hain wo dil-sitan aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.