banjar zamin pe chadar-e-sarsabz Dal de
banjar zamīñ pe chādar-e-sarsabz Daal de
dariyā huuñ mujh ko jānib-e-sahrā uchhāl de
terā hī nuur un ke badan se ho jalva-gar
mere likhe hurūf ko aisā jamāl de
uTTheñ jo mere paañv to dhartī ho raqs meñ
ye kā.enāt raqs kare vo dhamāl de
hairat kī dhuup se bhī na pighle vajūd-e-barf
rabb-e-kamāl mujh ko hunar be-misāl de
merā qadam qadam ho zamānoñ meñ mo'atabar
mere nuqūsh-e-jism ko jāh-o-jalāl de
bāñdhā na ho kisī ne jise silk-e-sher meñ
merī zabān-e-fikr ko aisā ḳhayāl de
kashkol tere sāmne 'fā.ez' ne rakh diyā
rahmat-ba-dast sikke nigāhoñ se Daal de
banjar zamin pe chadar-e-sarsabz Dal de
dariya hun mujh ko jaanib-e-sahra uchhaal de
tera hi nur un ke badan se ho jalwa-gar
mere likhe huruf ko aisa jamal de
uTThen jo mere panw to dharti ho raqs mein
ye kaenat raqs kare wo dhamal de
hairat ki dhup se bhi na pighle wajud-e-barf
rabb-e-kamal mujh ko hunar be-misal de
mera qadam qadam ho zamanon mein mo'atabar
mere nuqush-e-jism ko jah-o-jalal de
bandha na ho kisi ne jise silk-e-sher mein
meri zaban-e-fikr ko aisa KHayal de
kashkol tere samne 'faez' ne rakh diya
rahmat-ba-dast sikke nigahon se Dal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.