banjar zamin thi aur makan koi bhi na tha
banjar zamīñ thī aur makāñ koī bhī na thā
maiñ us jagah basā thā jahāñ koī bhī na thā
vahshat baras rahī thī jahān-e-ḳharāb meñ
dil ko lubhā sake vo samāñ koī bhī na thā
sab se judā huā thā maiñ jis ke yaqīn par
ho jā.egā judā vo gumāñ koī bhī na thā
taptī huī zamīn pe barsoñ chalā huuñ maiñ
lekin mire qadam kā nishāñ koī bhī na thā
hadd-e-nigāh sho.ale ugaltī rahī zamīñ
hairat kī baat hai ki dhuāñ koī bhī na thā
rāh-e-vafā meñ ḳharch huī 'shād' zindagī
pās-e-mafād pās-e-ziyāñ koī bhī na thā
banjar zamin thi aur makan koi bhi na tha
main us jagah basa tha jahan koi bhi na tha
wahshat baras rahi thi jahan-e-KHarab mein
dil ko lubha sake wo saman koi bhi na tha
sab se juda hua tha main jis ke yaqin par
ho jaega juda wo guman koi bhi na tha
tapti hui zamin pe barson chala hun main
lekin mere qadam ka nishan koi bhi na tha
hadd-e-nigah shoale ugalti rahi zamin
hairat ki baat hai ki dhuan koi bhi na tha
rah-e-wafa mein KHarch hui 'shad' zindagi
pas-e-mafad pas-e-ziyan koi bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.