banne wali hi thi nafrat ki kahani duniya
banne wali hi thi nafrat ki kahani duniya
Kashif Adeeb Makanpuri
MORE BYKashif Adeeb Makanpuri
banñe vaalī hī thī nafrat kī kahānī duniyā
dauḌ kar ahl-e-mohabbat ne bachā lī duniyā
is meñ bas aap hī bas aap nazar aate haiñ
maiñ ne duniyā se alag apnī banā.ī duniyā
aap ne apnā batāyā hai mujhe jis din se
de rahī hai mujhe aa aa ke badhā.ī duniyā
yuuñ hī karte nahīñ sab log mohabbat mujh se
pyaar kā dhan hai luTāyā to kamā.ī duniyā
ye hai girgiT kī tarah rañg badaltī apnā
laal piilī kabhī niilī kabhī dhānī duniyā
nafratoñ kā hai har ik samt añdherā phir bhī
pyaar se dekho nazar aa.egī pyārī duniyā
kabhī tanhā.ī meñ hañstā huuñ kabhī rotā huuñ
terī yādoñ kī hasīñ ek banā lī duniyā
tū mujhe bhuul na pā.egī qayāmat tak bhī
de ke jā.ūñgā tujhe aisī nishānī duniyā
maañ ke qadmoñ ko jo chūmā to lagā ye 'kāshif'
maañ ke qadmoñ meñ simaT aa.ī hai saarī duniyā
banne wali hi thi nafrat ki kahani duniya
dauD kar ahl-e-mohabbat ne bacha li duniya
is mein bas aap hi bas aap nazar aate hain
main ne duniya se alag apni banai duniya
aap ne apna bataya hai mujhe jis din se
de rahi hai mujhe aa aa ke badhai duniya
yun hi karte nahin sab log mohabbat mujh se
pyar ka dhan hai luTaya to kamai duniya
ye hai girgiT ki tarah rang badalti apna
lal pili kabhi nili kabhi dhani duniya
nafraton ka hai har ek samt andhera phir bhi
pyar se dekho nazar aaegi pyari duniya
kabhi tanhai mein hansta hun kabhi rota hun
teri yaadon ki hasin ek bana li duniya
tu mujhe bhul na paegi qayamat tak bhi
de ke jaunga tujhe aisi nishani duniya
man ke qadmon ko jo chuma to laga ye 'kashif'
man ke qadmon mein simaT aai hai sari duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.