bante rahe hain dil mein ajab gard-baad se
bante rahe haiñ dil meñ ajab gard-bād se
rañgoñ ko aazmā na sake e'timād se
ye aur baat aable hoñToñ pe paḌ ga.e
dahlīz chuum lī hai magar e'tiqād se
barsoñ kī be-zabān thakāvaT lipaT ga.ī
jab shahr-e-dil meñ lauT ke aa.e jihād se
sarsoñ kī chāñdnī se barahna daraḳht tak
har shai kī dilkashī nikhar aa.ī tazād se
kuchh ḳhush-dahan rafīq kahīñ biich biich meñ
merā bhī zikr karte rahe haiñ inaad se
phir aaj ek shakl tarāshī hai soch kī
dil kī guphā meñ harf ke kachche mavād se
'sajjād' koī hiila ki lau de uThe ye dil
dam ghuT rahā hai ḳhuun ke is injimād se
bante rahe hain dil mein ajab gard-baad se
rangon ko aazma na sake e'timad se
ye aur baat aable honTon pe paD gae
dahliz chum li hai magar e'tiqad se
barson ki be-zaban thakawaT lipaT gai
jab shahr-e-dil mein lauT ke aae jihad se
sarson ki chandni se barahna daraKHt tak
har shai ki dilkashi nikhar aai tazad se
kuchh KHush-dahan rafiq kahin bich bich mein
mera bhi zikr karte rahe hain inad se
phir aaj ek shakl tarashi hai soch ki
dil ki gupha mein harf ke kachche mawad se
'sajjad' koi hila ki lau de uThe ye dil
dam ghuT raha hai KHun ke is injimad se
- Book : Pakistani Adab (Pg. 506)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.