banti bigaDti taqdiron se rishta hai
bantī bigaḌtī taqdīroñ se rishta hai
mere ḳhvāb kā ta.abīroñ se rishta hai
mere sar ko nisbat hai dīvāroñ se
aur pairoñ kā zanjīroñ se rishta hai
is raste par ghaas nahīñ aa.egī ab
is raste kā rahgīroñ se rishta hai
dil meñ aks hai jaane kitne chehroñ kā
is album kā tasvīroñ se rishta hai
hiir ke dil kā rishta hai bas rāñjhe se
par rāñjhe kā ka.ī hīroñ se rishta hai
banti bigaDti taqdiron se rishta hai
mere KHwab ka tabiron se rishta hai
mere sar ko nisbat hai diwaron se
aur pairon ka zanjiron se rishta hai
is raste par ghas nahin aaegi ab
is raste ka rahgiron se rishta hai
dil mein aks hai jaane kitne chehron ka
is album ka taswiron se rishta hai
hir ke dil ka rishta hai bas ranjhe se
par ranjhe ka kai hiron se rishta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.