baqa ki fikr karo KHud hi zindagi ke liye
baqā kī fikr karo ḳhud hī zindagī ke liye
zamāna kuchh nahīñ kartā kabhī kisī ke liye
nahīñ hai vaqf agar zindagī kisī ke liye
to har qadam pe tabāhī hai aadmī ke liye
kamāl jab hai ki us raah meñ charāġh jalāo
jo muddatoñ se tarastī hai raushnī ke liye
fareb-e-shauq fareb-e-nazar fareb-e-ḳhayāl
hazār daam haiñ ik zauq-e-āgahī ke liye
tumhārī bazm meñ kyā shikva-e-ġham-e-hastī
yahāñ to saañs bhī ne.amat hai zindagī ke liye
guloñ ne aag lagā dī tamām gulshan meñ
zarā sī der ke lutf-e-shaguftagī ke liye
koī to baat tire āstāñ meñ hai varna
hazār dar the mire zauq-e-bandagī ke liye
vahāñ havāoñ ke ruḳh bhī nigāh meñ rakhnā
jahāñ charāġh jalāte ho raushnī ke liye
na jaane kitnī bahāroñ kā ḳhuuñ huā hogā
nigār-e-ḳhāna-ālam kī dilkashī ke liye
faroġh-e-bāda nahīñ hai harīf-e-tishna-labī
kuchh aur laao mire zauq-e-mai-kashī ke liye
nigāh-e-barq hai jab se mire chaman kī taraf
duā.eñ maañg rahā huuñ kalī kalī ke liye
jo un ke ġham se ho nisbat to har jahān meñ 'kaif'
masarratoñ kā ḳhazāna hai aadmī ke liye
baqa ki fikr karo KHud hi zindagi ke liye
zamana kuchh nahin karta kabhi kisi ke liye
nahin hai waqf agar zindagi kisi ke liye
to har qadam pe tabahi hai aadmi ke liye
kamal jab hai ki us rah mein charagh jalao
jo muddaton se tarasti hai raushni ke liye
fareb-e-shauq fareb-e-nazar fareb-e-KHayal
hazar dam hain ek zauq-e-agahi ke liye
tumhaari bazm mein kya shikwa-e-gham-e-hasti
yahan to sans bhi neamat hai zindagi ke liye
gulon ne aag laga di tamam gulshan mein
zara si der ke lutf-e-shaguftagi ke liye
koi to baat tere aastan mein hai warna
hazar dar the mere zauq-e-bandagi ke liye
wahan hawaon ke ruKH bhi nigah mein rakhna
jahan charagh jalate ho raushni ke liye
na jaane kitni bahaaron ka KHun hua hoga
nigar-e-KHana-alam ki dilkashi ke liye
farogh-e-baada nahin hai harif-e-tishna-labi
kuchh aur lao mere zauq-e-mai-kashi ke liye
nigah-e-barq hai jab se mere chaman ki taraf
duaen mang raha hun kali kali ke liye
jo un ke gham se ho nisbat to har jahan mein 'kaif'
masarraton ka KHazana hai aadmi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.