bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar kaTta hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshīr-o-tabar kaTtā hai
zaḳhm siine se ulajhte haiñ to Dar kaTtā hai
rone lagtā huuñ to aa jaatī hai chehre pe ḳharāsh
zabt kartā huuñ to andar se jigar kaTtā hai
sar jhukātā huuñ to martā hai 'aqīda merā
aur 'aqīde ko bachātā huuñ to sar kaTtā hai
she'r vo lafz-tarāshī kā 'amal hai jis meñ
harf-rezoñ se mirā dast-e-hunar kaTtā hai
koī dīvār uThā rakhtī hai chhat kāñdhoñ par
kisī dīvār ke uThne se bhī ghar kaTtā hai
ab vo chaupāl ke qisse na vo fursat na vo log
ab to har gaañv se bargad kā shajar kaTtā hai
bar-sar-e-dashna-o-shamshir-o-tabar kaTta hai
zaKHm sine se ulajhte hain to Dar kaTta hai
rone lagta hun to aa jati hai chehre pe KHarash
zabt karta hun to andar se jigar kaTta hai
sar jhukata hun to marta hai 'aqida mera
aur 'aqide ko bachata hun to sar kaTta hai
she'r wo lafz-tarashi ka 'amal hai jis mein
harf-rezon se mera dast-e-hunar kaTta hai
koi diwar uTha rakhti hai chhat kandhon par
kisi diwar ke uThne se bhi ghar kaTta hai
ab wo chaupal ke qisse na wo fursat na wo log
ab to har ganw se bargad ka shajar kaTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.