bar-sar-e-reg-e-rawan phul nahin khil sakte
bar-sar-e-reg-e-ravāñ phuul nahīñ khil sakte
dasht hai dasht yahāñ phuul nahīñ khil sakte
bārvar hogī duā jab use manzūr huā
vaqt se pahle yahāñ phuul nahīñ khil sakte
maiñ ne is dil kā nihāñ-ḳhāna dikhāyā us ko
us ne pūchhā thā kahāñ phuul nahīñ khil sakte
vo jahāñ chāhe vahāñ rañg bichhā de apne
us kī nazroñ se nihāñ phuul nahīñ khil sakte
farq paḌtā nahīñ mausam ke badalne se koī
ab zamīñ hai na zamāñ phuul nahīñ khil sakte
tum ko is ḳhaak se nisbat hai bahut pahle kī
Thiik kahte the miyāñ phuul nahīñ khil sakte
aisī miTTī meñ bhalā kāsht hī kyā ho 'jāved'
mausam-e-gul meñ jahāñ phuul nahīñ khil sakte
bar-sar-e-reg-e-rawan phul nahin khil sakte
dasht hai dasht yahan phul nahin khil sakte
barwar hogi dua jab use manzur hua
waqt se pahle yahan phul nahin khil sakte
main ne is dil ka nihan-KHana dikhaya us ko
us ne puchha tha kahan phul nahin khil sakte
wo jahan chahe wahan rang bichha de apne
us ki nazron se nihan phul nahin khil sakte
farq paDta nahin mausam ke badalne se koi
ab zamin hai na zaman phul nahin khil sakte
tum ko is KHak se nisbat hai bahut pahle ki
Thik kahte the miyan phul nahin khil sakte
aisi miTTi mein bhala kasht hi kya ho 'jawed'
mausam-e-gul mein jahan phul nahin khil sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.