bar-sar-e-rozgar the hum to
bar-sar-e-rozgār the ham to
'jaun' yāroñ ke yaar the ham to
chal diye dost to ye dhyān aayā
sirf ik rahguzār the ham to
ab ġhulāmoñ ke bhī ġhulām hue
sāhab-e-iqtidār the ham to
khul ke ro.e haiñ to yaqīn aayā
vāqa.ī jān-dār the ham to
jab gire TuuT kar to ye dekhā
chaar sū be-shumār the ham to
hameñ Thukrā diyā gayā hai 'zakī'
ruḳh-e-parvardigār the ham to
bar-sar-e-rozgar the hum to
'jaun' yaron ke yar the hum to
chal diye dost to ye dhyan aaya
sirf ek rahguzar the hum to
ab ghulamon ke bhi ghulam hue
sahab-e-iqtidar the hum to
khul ke roe hain to yaqin aaya
waqai jaan-dar the hum to
jab gire TuT kar to ye dekha
chaar su be-shumar the hum to
hamein Thukra diya gaya hai 'zaki'
ruKH-e-parwardigar the hum to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.