bara-e-nam-o-nasab go nahin hunar mera
barā-e-nām-o-nasab go nahīñ hunar merā
banā huā hai magar marhala safar merā
mire rafīq maiñ muddat kā luT gayā hotā
ḳhudā kā shukr ki ḳhālī paḌā thā ghar merā
maiñ un se shikva karūñ bhī to kis tarah āḳhir
ki ab to un pe bhī hotā nahīñ asar merā
havā ne zor to apnā lagā liyā lekin
bujhā na paa.ī charāġh-e-fan-o-hunar merā
maiñ un ke naam kī nisbat se jaanā jaatā huuñ
yahī to ek havāla hai mo'atabar merā
vo jis ko kahtī hai 'iqrār-mustafā’ duniyā
vahī huuñ maiñ ye ta.āruf hai muḳhtasar merā
bara-e-nam-o-nasab go nahin hunar mera
bana hua hai magar marhala safar mera
mere rafiq main muddat ka luT gaya hota
KHuda ka shukr ki KHali paDa tha ghar mera
main un se shikwa karun bhi to kis tarah aaKHir
ki ab to un pe bhi hota nahin asar mera
hawa ne zor to apna laga liya lekin
bujha na pai charagh-e-fan-o-hunar mera
main un ke nam ki nisbat se jaana jata hun
yahi to ek hawala hai mo'atabar mera
wo jis ko kahti hai 'iqrar-mustafa’ duniya
wahi hun main ye taaruf hai muKHtasar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.