bara-e-zeb main zewar tumhein manga dun kya
barā-e-zeb maiñ zevar tumheñ mañgā duuñ kyā
ye bol ke maiñ tere husn ko ghaTā duuñ kyā
thakā huā huuñ maiñ sone diyā karo mujh ko
ye kah ke maiñ terī nīñdoñ ko hī uḌā duuñ kyā
nadī meñ pheñke hue phuul bah rahe haiñ kuchh
unhīñ ke saath ḳhatoñ ko tere bahā duuñ kyā
ye jism sañg kā ab rah gayā hai tere ba.ad
ise tarāsh ke koī ḳhudā banā duuñ kyā
zarā zarā sā jo tum rūThte ho be-matlab
isī ḳhatā ko tumhārī adā batā duuñ kyā
bara-e-zeb main zewar tumhein manga dun kya
ye bol ke main tere husn ko ghaTa dun kya
thaka hua hun main sone diya karo mujh ko
ye kah ke main teri nindon ko hi uDa dun kya
nadi mein phenke hue phul bah rahe hain kuchh
unhin ke sath KHaton ko tere baha dun kya
ye jism sang ka ab rah gaya hai tere baad
ise tarash ke koi KHuda bana dun kya
zara zara sa jo tum ruThte ho be-matlab
isi KHata ko tumhaari ada bata dun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.