barae-KHair shar se barsar-e-paikar ho jae
barae-KHair shar se barsar-e-paikar ho jae
Khaleel-ur-Rahman Raaz
MORE BYKhaleel-ur-Rahman Raaz
barā.e-ḳhair shar se barsar-e-paikār ho jaa.e
jise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e
azā.em shal qavā maflūj dil be-kār ho jaa.e
agar āsāniyāñ hoñ zindagī dushvār ho jaa.e
jo rāh-e-haq meñ marne ke liye tayyār ho jaa.e
nazar meñ us kī bāzīcha farāz-e-dār ho jaa.e
agar shauq-e-shahādat ruuh meñ bedār ho jaa.e
jabīñ ḳhanjar-ba-kaf ho aur nazar talvār ho jaa.e
ināyat kī nazar dil par shah-e-abrār ho jaa.e
mirā tārīk kāshāna tajallī-zār ho jaa.e
vo dil jis ko ḳhayāl-e-mursal-e-muḳhtār ho jaa.e
tajallī-gāh-e-rahmat matla-e-anvār ho jaa.e
qayāmat kyā hai ai maulā qayāmat se agar pahle
hamārā aur un kā sāmnā ik baar ho jaa.e
tanaffus mushk-afshāñ hai takallum barq-e-jumbāñ hai
tabassum hai ki goyā nuur kī yalġhār ho jaa.e
siyāsat hai ye dil kī kyā ḳhabar ahl-e-siyāsat ko
ki kyūñ-kar parda-e-inkār meñ iqrār ho jaa.e
ye duniyā hai na ho nāzāñ nahīñ tū bā-ḳhabar nādāñ
ye yūsuf ke liye kab misr kā bāzār ho jaa.e
guzarnā hai mah-e-kan.āñ ko ik din chāh-e-kan.āñ se
jamāl ab phir barā.e imtihāñ tayyār ho jaa.e
zamāne kī qayādat paañv chūmegī tire vaa.iz
agar guftār ke Dhab par tirā kirdār ho jaa.e
supurd-e-ḳhāk karte haiñ shahīd-e-ishq ko yārab
ye daana ḳhaak meñ mil kar gul-o-gulzār ho jaa.e
sunā.egā kahāñ tak qissa-e-ġham 'rāz' rahne de
ye ġham Dar hai kahīñ dosh-e-falak par baar ho jaa.e
barae-KHair shar se barsar-e-paikar ho jae
jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae
azaem shal qawa mafluj dil be-kar ho jae
agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae
jo rah-e-haq mein marne ke liye tayyar ho jae
nazar mein us ki bazicha faraaz-e-dar ho jae
agar shauq-e-shahadat ruh mein bedar ho jae
jabin KHanjar-ba-kaf ho aur nazar talwar ho jae
inayat ki nazar dil par shah-e-abrar ho jae
mera tarik kashana tajalli-zar ho jae
wo dil jis ko KHayal-e-mursal-e-muKHtar ho jae
tajalli-gah-e-rahmat matla-e-anwar ho jae
qayamat kya hai ai maula qayamat se agar pahle
hamara aur un ka samna ek bar ho jae
tanaffus mushk-afshan hai takallum barq-e-jumban hai
tabassum hai ki goya nur ki yalghaar ho jae
siyasat hai ye dil ki kya KHabar ahl-e-siyasat ko
ki kyun-kar parda-e-inkar mein iqrar ho jae
ye duniya hai na ho nazan nahin tu ba-KHabar nadan
ye yusuf ke liye kab misr ka bazar ho jae
guzarna hai mah-e-kanan ko ek din chah-e-kanan se
jamal ab phir barae imtihan tayyar ho jae
zamane ki qayaadat panw chumegi tere waiz
agar guftar ke Dhab par tera kirdar ho jae
supurd-e-KHak karte hain shahid-e-ishq ko yarab
ye dana KHak mein mil kar gul-o-gulzar ho jae
sunaega kahan tak qissa-e-gham 'raaz' rahne de
ye gham Dar hai kahin dosh-e-falak par bar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.