barae tishna-lab pani nahin hai
barā.e tishna-lab paanī nahīñ hai
samundar kā koī saanī nahīñ hai
hamārā ghar bhī sahrā ho gayā hai
magar 'ġhālib' sī vīrānī nahīñ hai
ragoñ meñ ḳhuun shoḳhī kar rahā hai
sitāra sī vo peshānī nahīñ hai
maiñ apne ghar ke andar chain se huuñ
kisī shai kī farāvānī nahīñ hai
nizām-e-jism jamhūrī hai 'ḳhālid'
kisī jazbe kī sultānī nahīñ hai
barae tishna-lab pani nahin hai
samundar ka koi sani nahin hai
hamara ghar bhi sahra ho gaya hai
magar 'ghaalib' si virani nahin hai
ragon mein KHun shoKHi kar raha hai
sitara si wo peshani nahin hai
main apne ghar ke andar chain se hun
kisi shai ki farawani nahin hai
nizam-e-jism jamhuri hai 'KHalid'
kisi jazbe ki sultani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.